Jinsi Khwahish Ki Kami

Low Libido - Lack Of Sexual Desire

 Iss maqsad ka hussol jald bhi ho sakta hai aur der ba'ad bhi ta'hum mustaqil mizaji sey mushq ko jari rakhein agar yeh mushqein aap kay maqsad kay husool kay liye mufeed sabit na hun to phir kisi achey mahir e nafsiyat sey baqaeda elaj karaein Allah ney har maslay ka hull paeda kya hai.

Jinsi Khwahish Ki Kami (Low Libido)

     Aam tor per mian biwi ki jinsi dilchaspi (libido) aur khwahish ek jaisi nahin hoti bul kay donon mein farq hota hai kahin aurat ki jinsi khwahish zyada hoti hai aur kahin mard ki waisey yeh sochna aur tasawwur karna bhi na ma'aqooliyat hai kay do mukhtalif afraad ek jaisi ek jitni jinsi khwahish rakhtey hun jinsi  khwahish ka ikhtilaaf aam doosrey ikhtilaaf ki tarah hai maslan kisi ko baerooni sargarmiyan pasand hain to doosrey ko gharelu ek ko football pasand hai to doosrey ko cricket ta'hum inn ikhtilafaat sey nipatney ka behtreen tariqa kuch maano aur kuch manwao ka usool hai aur yehi usool mian biwi ki mukhtalif jinsi khwahishaat kay silsilay mein bhi ikhtiyar karna hoga ek doosrey kay jinsi jazbaat ka ehtraam karna hoga. Iss surat mein zindagi bohut khushgawar hogi. 1972 kay ek survey kay mutabiq aam jorey ausatan haftey mein do baar jinsi amal sey lutf andoz hotey hain magar umar barhney kay sath iss mein kami aa jati hai.
    Magar ba'az auqaay fard ki jinsi khwahishat aur dilchaspi aohut kam ho jati hai aur ba'az ki bilkul hi khatam ho jati hai

Low Libido - Lack Of Sexual Desire - Reasons
    Ek american survey mein 35% khawateen aur 16% mardon ney sex mein adum dilchaspi ka izhar kya kuch khawateen ki jinsi khwahish (libido) ahista ahista khatam hoti hai aur kuch ki ek dum khatam ho jati hai ba'az khawateen ko kisi moqa per khwahish hoti hai aur kisi doosrey moqa per nahin hoti  iss ki wajah janney kay liye record rakhein  aur baghor jaeza lein kay kab khwahish hoti hai aur kab nahin hoti amooman aisa ho sakta hai kay jab aap relax hun to khwahish ho magar jab tense hun to adum dilchaspi ka shikaar ho jaein ba'az auqaat jora kisi wajah sey sex tark kar deta hai maslan beemari, laraee jhagrey, zehni dabau aur muashi pareshani waghaera yeh bhi khwahish  mein kami ka sabab ban saktey hain. Ba'az auqaat sex ko doobara shuru karna mushkil ho jata hai jab lamba arsa sex na ki jaey to isey dobara shuru karna zara mushkil ho jata hai. Hum aap ko batein gey kay aap kis tarah apni jinsi dilchaspiyon ko bahaal kar saktey hain magar iss sey pehley jinsi khwahish ki kami (low libido) ki wajoohaat ko janna hoga.

Jinsi Khwahish Ki Kami Ki Wajoohaat (Low Libido Reasons)

    Iss masley ki wajoohaat nafsiyati kay elawa jismani bhi ho sakti hain mahireen kay khayal kay mutabiq jismani ya medical wajoohaat 10% ta 20% ho sakti hain jab kay zyada ter wajoohaat nafsiyati hoti hain ahem wajoohaat darj zael hain:

  1. Manfi Jinsi Ta'aleem o Tarbiyat (negative sexual training)
Agarcha islam mein shaadi kay ba'ad sex ko naeki aur sadqa qarar diya hai magar phir bhi la ilmi ki wajah sey sex ko amooman bura samjha jata hai jiski wajah sey yeh masla paeda ho jata hai.

Low Libido Reasons - Lack Of Sexual Desire
  2. Mubashrat Mehramaat (incestous experience)
    Ba'az auqaat larkiyan bachpan mein qareebi azizon maslan chacha, maamoon, bhai hatta kay walid waghaera ki jinsi zyadti ka nishana ban jati hain phir shadeed ehsaas-e-gunah ki wajah se bachiyan sex mein dilchaspi kho deti hain.

  3. Zina biljabr

    Zina biljabr jinsi dilchaspi mein kami ki ek ahem wajah hai waqe'aa guzarney kay mahinon, ba'az auqaat saalo'n ba'ad bhi fard khauf ka shikar hota hai phir shaadi kay ba'ad ju'nhi jinsi amal honey lagta hai to wahi khauf jinsi khwahish ko kam kar deta hai.

  4. Zehni Daba'u Aur Thakawat (stress and fatigue)
    Jinsi khwahish mein kami ki ek bari wajah kaam ka daba'u hai kaam dafter ka ho ya ghar ka ya bachin ki zimme daariyan iss tarah thakawat ki wajah se bhi jinsi khwahish kam ho jati hai aisi surat mein amooman chuttiyon mein yeh khwahish barh jati hai.

  5. Boriyat (boredome)
    Ek survey mein kuch khawateen ne bataya keh shaadi kay ibteda'ee dino'n mein unki jinsi khwahish bohut zyada thi magar ek do saal ba'd kam ho gaee ek aadh saal ba'ad sex routine ban jati hai hatta kay ek pasandeeda dish bhi roz kha kar boriyat ho jati hai.

  6. Jazbaati Sadma (emotional trauma)
    Ba'az auqaat khawand kay kisi aur aurat se ta'alluqaat qayem ho jatey hain ju'nhi biwi ko ilm hota hai to uski jinsi

Low Libido Reasons - Lack Of Sexual Desire
 Dilchaspi aur khwahish khatam ho jati hai iss tarah bachey ki paeda'esh, mulazimat ka khatima, kisi qareebi aziz maslan walaeden aur behen bhai ki wafat kay ba'ad amooman jinsi khwahishat kam ho jati hain. Ba'az beemariyon ki wajah sey aurat ka pistaan kaat diya jata hai ya rahem nikal diya jata hai yeh aurat kay liye ek sadma hai jo iss kay jinsi jazbaat ko manfi tor per muta'assir karta hai.

  7. Mian Biwi Kay Kharab Ta'alluqaat (relationship problems)
    Mian biwi kay aapas kay ta'alluqaat joray ki jinsi zindagi per asar andaz hotey hain agar aap ki jinsi khwahish mein kami ho chuki hai magar aap doosrey logon ko dekh kar jinsi tor per mushta'el hoti hain, inko dekh kar romantic mehsoos karti hain  to aap kay masley ki wajah ba'hmi ta'alluqaat ki kharabi hai. Dil mein ek doosrey kay khilaf ghussa, ek doosrey per ilzam tarashi waghaera bharpoor jinsi ta'alluqaat mein bohut bari rukawat hain, thori bohut tuu takar to har ghar mein hoti hai magar jab yeh zyada ho jaey ya mustaqil surat ikhtiyar kar ley to phir iss tarah kay masa'el paeda ho jatey hain.
  8. Jinsi Adum Itmenan (lack of sexual satisfaction)
    Agar aap jinsi tor per apney khawand sey khush  nahin to aap ki jinsi khwahish mein kami ki wajah yehi adum itmenan hai. Humeray haan khawateen ki jinsi khwahish mein kami ki sab sey bari wajah aurat ka jinsi adum itmenan hai. Jinsi itmenan hasil karney  kay chund makhsoos tareqey hain agar khawand inn sey aagaah ho to adum itmenan ka masla paeda nahin hota. Humaray haan mard aur aurat donon inn tareeqon sey aagaah nahin jis ki wajah sey na khawand biwi ko mutma'en kar pata hai aur na biwi khud apney aap ko sukoon dey sakti hai.