jinsi taleem


jinsi- Mubashrat
Mubashrat (intercourse) :
Mubashrat (intercourse) shadi ki buniyad hai magar budqismati sey humarey yahan laa ilmi ki wajah sey aksar log iss silsiley mein ziyada malomaat nahi rakhtey hain. Mardon ki aksaryat to mubashrat (intercourse) kay exact maqam sey bhi aagah nahi. Inhein sirf andaza hai magar woh vagina ki asal location sey waqif nahi. Aap ko yeh jaan kay hairat hogi kay bohut sey shadi shuda mard bhi iss kay asal maqam sey aagah nahi, woh sirf andazey sey mubashrat (intercourse) kartey hain. Issi liye ba'az auqat laa ilmi ki wajah sey mian dakhool ki koshish mein dakhool sey pehley hi discharge ho jatey hain. Jis ki wajah sey unko shadeed sharmindagi uthana parti hai aur biwi jismani aur zehni aziyat ka shikar ho jati hai. Chunancha mian kay liye zaroori hai kay woh shadi kay shuru kay dino mein hi apni biwi kay aaza-e-makhsoosa (genitals) khaas tor per faraj (vagina) kay asal maqam sey puri tarhan aagah hojaey.
Islam mein shadi kay baad biwi kay saath mubashrat (intercourse) naeki aur sadqa hai, jiska mian biwi ko sawab milta hai yeh koi buri yeh naa pasandeeda cheez nahi hai. Hazrat Muhammad(P.B.U.H) nay farmaya kay apni biwi sey ham-bistari (mubashrat) karnaa sadqa hai. Sahaba e karam ney kaha kay hum to apni shahoot puri kartey hain phir iss mein humarey liye ajar aur sawab kaisey?


Chapter - 2
Mardana Quwwat Mein Izafa
(Enhancing Sex Power)
Duniya mein har fard mardanaa quwwat mein izafa chata hai. Hakeem iss hawaley sey khususi course use karney ki sifarish kartey hain. Jis ki koi haqeeqat nahi. Mardana quwwat kay liye achi zehni aur jismani sehat zaroori hai. Iss tarhan achi zehni aur jismani sehat kay liye bhar poor sex ki zaroorat hai. Agar fard zehni aur jismani lehaz sey sehat mand ho to woh last time tak jinsi amal kay qabil hota hai. Achi jinsi sehat kay liye aap ko shaori koshish karna hogi. Bharpoor jinsi sehat aur sex power (mardana quwwat) kay liye mandarjazail baaton per amal karein.
  1. Khooraak
Hamesha mutawazin aur kam khoorak khaya karein. Allah Ta'ala kay Nabi Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ka irshad hai kay kabhi paet bhar kar khanaa naa khaya jaey. Khoorak kam chiknaa (Low Fat) wali ho. Amoomi sehat kay liye taza vegetables aur fruits mufeed hain. Balaee nikla milk aur mukammal eggs kay bajaey sirf iss ki safaidi li jaey. Gosht mein chicken ziyada mufeed hai. Iss kay elawa vitamin C, D aur E ka baqaida use kiya jaey. Cholestrol aur Friglyceride ko barhney naa dein.
Humarey yahan Allah Ta'ala kay Nabi Hazrat Muhammad (P.B.U.H) kay saath ek baat mansoob hai ka Hazrat Jibrail Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ko mardanaa quwwat mein izafai kay liye jannat sey hareesa la kar diya tha jis sey aap ki sex power (mardana quwwat) mein bohut ezafa hogaya.